غزل
Is chashm e num pe Pyar ka unwaan dekh ker
Wo chal diye ghareeb ka armaan dekh ker
Nazrain jhuka k sharm se tehzeeb chal parhi
Nadim hoi wo aj ka insaan dekh ker
Kahein Eid k asraaf ki tafseel chhirh gye
Koi ro parha he aamid e ramadan dekh ker
Fikr o fun laeen ki nobat Kahan rahi
Tadbeer seekhta he Yaan shetaan dekh ker
Kajal wo surkh hont to zulfain saji hoi
Ik khalbali he qatal ka samaan dekh ker
Shair o sukhan se ho sakay jitnay raho parray
Samjho na itna kaam ye asaan dekh ker
Tujh ko Jo nagwaar thay dunia se chal diye
Amir na ho ab is tra heraan dekh ker
عامر اسماعیل